Guzaarish

 Guzaarish Main roshan ho uthunga par tu woh chamakti hui aaftab to ban, Main kaanton ki tarah tera pehra karunga par tu woh kabhi na murjha...

Tuesday, April 7, 2020

Ishq koi riwaaz nahi | Love shayari in hindi |


           "Riwaaz nhi"



Kya likhun main tujhe,
Likhne ko koi alfaaz nhi. 

Sab kuchh to bta diya hai tujhe,
Ab kehne ko koi raaz nhi. 

Pta h, bezaar ho gyi hai tu mujhse,
Ispar v tujhse main naaraz nhi. 

Keh sakun sabse ki tu sirf meri h,
Ab mujhe khud par yeh naaz nhi. 

Banayi thi maine v mohabbat ki deeware,
 haan, woh koi "TAJ" nhi. 

Bana deta usse v achi haseen mahal,
Par ab koi saaz nhi. 

Kya hai tu mere liye, jrur bataunga tujhe ekdin,
 par aaj nhi. 

Nibhao mohabbat tum v ?
Arey rehne do, "yeh koi Riwaaz nhi"



No comments:

Post a Comment