Guzaarish

 Guzaarish Main roshan ho uthunga par tu woh chamakti hui aaftab to ban, Main kaanton ki tarah tera pehra karunga par tu woh kabhi na murjha...

Saturday, July 31, 2021

Guzaarish

 Guzaarish


Main roshan ho uthunga par tu woh chamakti hui aaftab to ban,

Main kaanton ki tarah tera pehra karunga par tu woh kabhi na murjhaane wali gulaab to ban.


Tere zindagi ke har panne ko padhunga main,

Par tu woh kabhi na khatam hone wali kitaab toh ban.


Doob jaunga main tere mohabbat mein beshak,

Par tu woh ishq ki meethi taalab to ban.


Apne har zarre mein tujhe samaa lunga main,

Par tu bhi zara betaab to ban.


Dil se dil jodh kar, kandhon se kandha mila kar, haathon mein haath thaam kar tere sath chal padhunga main,

Par tu meri woh rubaab to ban.



meaning of few words:

Aaftab - Sun

Rubaab - Guide to the right path

 

No comments:

Post a Comment