"Kya"
Kya aaj v tujhe uss itr ki khushboo aati hai jo mere libaason se tujh tk pahunchi thi?
Kya ab v sambhal kar rakha hai woh gulaab jo maine apne haathon se tujhe di thi? ~
Kya waade aaj v tujhe yaad hai tujhe jo tune kabhi ki thi?
Kya ab woh waqt kisi aur k haq mein hai jo tune mjhe kabhi di thi? ~
Kya bhula chuki ho woh raatein jo humne intezaaron m gujaari thi?
Kya insan nhi tha main jo ek galti ki yeh sazaa di thi? ~
Inn "kya" k bich kayi aur sawaal the jo mujhe tujhse puchhni thi?
Kya zamaane ki thi woh dastaan-e-ishq ya bas humari thi? !
No comments:
Post a Comment