Guzaarish

 Guzaarish Main roshan ho uthunga par tu woh chamakti hui aaftab to ban, Main kaanton ki tarah tera pehra karunga par tu woh kabhi na murjha...

Saturday, April 4, 2020

Iltija | Love shayari in hindi |




Saari baatein main hi kyun puchhun, kchh baatein tum v keh do na. 
Dinbhar ki thakaan k baad raat ko teri baaton se jo milti thi, woh sukoon mujhe wapas kr do na. 
Maana ki duriya bad gyi hai hamare bich, 
To dil se dil ka taaluk phirse kr do na. 
Bahut gehre h mere dil ke zakhm, 
Apne mohabbat se inhein bhar do na 
Raaton ko teri yaadein iss qadr din bna deti h ke so nhi paata main, 
phir se raat kr do na. 
Yaad h hmare bich hui baatein?  
Chot tumhein lagne par dard mujhe hona, Dard mujhe hone par takleef mein tera hona, 
Woh baatein jhoothi thi apne zubaan se keh do na. 
Woh jo meri rooh thi tere paas,  ussey sambhal kr rkhna, lekin mera pyaar mjhe wapas kr do na. 

😊😇 

1 comment: