Guzaarish

 Guzaarish Main roshan ho uthunga par tu woh chamakti hui aaftab to ban, Main kaanton ki tarah tera pehra karunga par tu woh kabhi na murjha...

Saturday, April 4, 2020

TALAB | Love shayari in hindi |

Ek chhoti si Koshis👇 

"TALAB"

Aaj badi talab hui h pyaar paane ki, 
Aaj badi talab hui h tujhe apnaane ki. 
Main to kabse hun tera janeman, aaj badi talab hui h tujhe apna bnane ki. 

Raaton ko aksar teri yaadein jaga deti h, inn tanhaiyon mein kha-makha be-ashq rula deti h.
Aye dil' koi zarurat nhi tujhe kisi bahane ki, 
Aur na hi jarurat h tujhe ussey smjhane ki, 
Aaj badi talab hui h pyaar paane ki, 
Aaj badi talab hui h tujhe apnaane ki. 


Na kar tu yakeen meri mohabbat pr, 
Koi darr tujhe sataya karta hoga, 
Saare darr khatm hongi waada h tujhse, 
Ek baar koshish to kar mere paas aane ki. 
Aaj badi talab hui h pyaar paane ki, 
Aaj badi talab hui h tujhe apnaane ki.

   #tried 


             -Shafi

1 comment: