Guzaarish

 Guzaarish Main roshan ho uthunga par tu woh chamakti hui aaftab to ban, Main kaanton ki tarah tera pehra karunga par tu woh kabhi na murjha...

Saturday, July 31, 2021

Guzaarish

 Guzaarish


Main roshan ho uthunga par tu woh chamakti hui aaftab to ban,

Main kaanton ki tarah tera pehra karunga par tu woh kabhi na murjhaane wali gulaab to ban.


Tere zindagi ke har panne ko padhunga main,

Par tu woh kabhi na khatam hone wali kitaab toh ban.


Doob jaunga main tere mohabbat mein beshak,

Par tu woh ishq ki meethi taalab to ban.


Apne har zarre mein tujhe samaa lunga main,

Par tu bhi zara betaab to ban.


Dil se dil jodh kar, kandhon se kandha mila kar, haathon mein haath thaam kar tere sath chal padhunga main,

Par tu meri woh rubaab to ban.



meaning of few words:

Aaftab - Sun

Rubaab - Guide to the right path

 

Wednesday, April 29, 2020

Kuchh Sawalaat | Love shayari in hindi |


                           "Kya"

Kya aaj v tujhe uss itr ki khushboo aati hai jo mere libaason se tujh tk pahunchi thi? 
Kya ab v sambhal kar rakha hai woh gulaab jo maine apne haathon se tujhe di thi? ~

Kya waade aaj v tujhe yaad hai tujhe jo tune kabhi ki thi? 
Kya ab woh waqt kisi aur k haq mein hai jo tune mjhe kabhi di thi? ~

Kya bhula chuki ho woh raatein jo humne intezaaron m gujaari thi? 
Kya insan nhi tha main jo ek galti ki yeh sazaa di thi? ~

Inn "kya" k bich kayi aur sawaal the jo mujhe tujhse puchhni thi? 
Kya zamaane ki thi woh dastaan-e-ishq ya bas humari thi?  !

Thursday, April 16, 2020

Top 5 Rahat Indori shayari | Rahat Indori shayari |

    "TOP 5 RAHAT INDORI SHAYARI"



  1. Yun to har phool pe likha hai ki todo mat, Dil machalta hai to kehta hai choro mat.. 
  2. Zubaan to khol, nazar to mila, jawaab to de, Mai kitni baar luta hoon mujhe hisaab to de,
    Tere badan ki likhawat mai hai utaar chadaav, Main tujhe kaise padhunga mujhe kitaab to de..
  3. Nayi hawaaon ki sohbat bigaad deti hai, Kabutaron ko khuli chhat bigaad deti hai,
    Aur jo jurm karte hain itne bure nahi hote, Saza na deke adaalat bigaad deti hai..
  4. Suraj, sitaare, chaand mere saath me rahe, Jab tak tumhare haath mere haath me rahe,Shaakhon se toot jaaye wo patte nahi hain hum, Aandhi se koi keh de ki aukaat me rahe..
  5. Main woh dariya hu ki har boond bhanwar hai jiski,Tumne accha hi kiya mujhse kinaara karke.


     

Wednesday, April 8, 2020

Ishq aur majhab | Love shayari in hindi |

  

         "Ishq aur majhab"





Woh hindu h main musalman hun phir v main usse pyaar krta tha,
Yahi farq dono ko alag na karde bas isi baat se darta tha.

Galat fehmiyon ne raaste alag kr diye, ab khudko phir se paane ko khudse hi ladta hun. 

Ashq aaj v aa jaati h aankhon m,
Jb hmare purane messages ko dobara padhta hun.

Takraare kayi hui h hmare bich phir v na jaane kyun uspe hi marta hun, 

Ishq ko hmara jhutha btaya gya, chalo tb, main yahan se chalta hun. ๐Ÿ™ 

  
Happens for good

Tuesday, April 7, 2020

Ishq koi riwaaz nahi | Love shayari in hindi |


           "Riwaaz nhi"



Kya likhun main tujhe,
Likhne ko koi alfaaz nhi. 

Sab kuchh to bta diya hai tujhe,
Ab kehne ko koi raaz nhi. 

Pta h, bezaar ho gyi hai tu mujhse,
Ispar v tujhse main naaraz nhi. 

Keh sakun sabse ki tu sirf meri h,
Ab mujhe khud par yeh naaz nhi. 

Banayi thi maine v mohabbat ki deeware,
 haan, woh koi "TAJ" nhi. 

Bana deta usse v achi haseen mahal,
Par ab koi saaz nhi. 

Kya hai tu mere liye, jrur bataunga tujhe ekdin,
 par aaj nhi. 

Nibhao mohabbat tum v ?
Arey rehne do, "yeh koi Riwaaz nhi"



Talaash | Love shayari in hindi |

            "Talaash"
Self motivation


Kal tak cheezon mein jo khushi dhunta rha,
Aaj zinda woh laash main hun.

Hmesha tujhe paana chaaha,
aaj khudki talaash mein hun.

Wajood na v mile mera to koi gham nhi,
apne ek chaal se jo baazi palat de aisa woh taash main hun.

Kal tak tere paas jaane ko doston se dur rha tha main ,
Par aaj jab tujhse dur hun to unke paas mein hun.

Khudmein hmesha kami dhundta rha,
Par apno ne hi btaya kitna khaas main hun.

Apne kal ko pichhe chhor chuka main,
Ab khudki talaash mein hun.

Mat lautna mere zindagi mein kabhi dobara,
main ab khudko ko paane ki aas mein hun.

Be happy live free
"Keep moving ahead"




Sunday, April 5, 2020

Laapata | Love shayari in hindi |






Amavasya ki raat to kab ki dhal chuki h,
Phir aaj chaand aaya kyun nhi?
Ki agar woh nikla tha kabhi,
To phir zameen pe koi saaya kyun nhi? 
Lagta h chaand ko dhaka koi baadal tha,
Phir bhi intezaar kar rha ek pagal tha, 
Uss pagal ko yeh baat samajh m aaya kyun nhi?
Chaand nhi niklega aaj to phir woh apne ghar ko lauta kyun nhi? 
Shayad uss pagal ko baadal dikha hi na ho,
Agar sach mein baadal tha to phir baarish aaya kyun nhi?

Saturday, April 4, 2020

Iltija | Love shayari in hindi |




Saari baatein main hi kyun puchhun, kchh baatein tum v keh do na. 
Dinbhar ki thakaan k baad raat ko teri baaton se jo milti thi, woh sukoon mujhe wapas kr do na. 
Maana ki duriya bad gyi hai hamare bich, 
To dil se dil ka taaluk phirse kr do na. 
Bahut gehre h mere dil ke zakhm, 
Apne mohabbat se inhein bhar do na 
Raaton ko teri yaadein iss qadr din bna deti h ke so nhi paata main, 
phir se raat kr do na. 
Yaad h hmare bich hui baatein?  
Chot tumhein lagne par dard mujhe hona, Dard mujhe hone par takleef mein tera hona, 
Woh baatein jhoothi thi apne zubaan se keh do na. 
Woh jo meri rooh thi tere paas,  ussey sambhal kr rkhna, lekin mera pyaar mjhe wapas kr do na. 

๐Ÿ˜Š๐Ÿ˜‡ 

TALAB | Love shayari in hindi |

Ek chhoti si Koshis๐Ÿ‘‡ 

"TALAB"

Aaj badi talab hui h pyaar paane ki, 
Aaj badi talab hui h tujhe apnaane ki. 
Main to kabse hun tera janeman, aaj badi talab hui h tujhe apna bnane ki. 

Raaton ko aksar teri yaadein jaga deti h, inn tanhaiyon mein kha-makha be-ashq rula deti h.
Aye dil' koi zarurat nhi tujhe kisi bahane ki, 
Aur na hi jarurat h tujhe ussey smjhane ki, 
Aaj badi talab hui h pyaar paane ki, 
Aaj badi talab hui h tujhe apnaane ki. 


Na kar tu yakeen meri mohabbat pr, 
Koi darr tujhe sataya karta hoga, 
Saare darr khatm hongi waada h tujhse, 
Ek baar koshish to kar mere paas aane ki. 
Aaj badi talab hui h pyaar paane ki, 
Aaj badi talab hui h tujhe apnaane ki.

   #tried 


             -Shafi

Friday, April 3, 2020

Shayaris | Love shayari in hindi |


So, I'm gonna post few shayaris written by me. I hope, you love it❣️ 

1. Ke rubru rehnuma se hue to deedar-e-jannat hua,
Kuchh khushnuma pal aise beete maano pura koi mannat hua.
Chaand ko todkar uske pairo par rakh to dun main ,
Par uske chehre se meri nazar hatey agar aisa koi mohlat hua.


2. Nikal pada main insaanon ki talaash mein usi ke basti mein,
Milega koi to puchhunga insaniyat ka pta bta do.

3. Meri tanhaiyon ka sahara ho tum, main agar samundra to kinara ho tum, beshak humein milne se koi rok nhi skta, main andhera hun agar toh meri ujaala ho tum.